اردو हिंदी
Jazb hai KHamshi-e-gul mein takallum tera | Shaahi Shayari
jazb hai KHamshi-e-gul mein takallum tera

Ghazal

Jazb hai KHamshi-e-gul mein takallum tera

Ishrat Zafar

;

jazb hai KHamshi-e-gul mein takallum tera
jawedan mere chaman mein hai tabassum tera

bagh mein sail-e-numu-KHez ki halchal teri
dasht mein shor-e-sipah-e-mah-o-anjum tera

teri marhun-e-nawazish meri sarshaari-e-KHak
mai-kada tera mai-e-nab teri KHum tera

KHushk-o-tar past-o-buland aaina-e-sham-o-sahr
mehrban sab pe hai sailab-e-tarahhum tera

sab tere zer-e-nagin mauj samundar sahil
baadban tera teri naw talatum tera

chashma-e-ab-e-rawan hai jo sarab-e-jaan mein
us ki har lahr mein raqsan hai tarannum tera

hai teri miTTi ke har zarre pe ehsan jis ka
'ishrat' us zat mein har naqsh hua gum tera