jazb-e-dil kargar nahin hota
us ke dil par asar nahin hota
dard dil mein agar nahin hota
baat mein kuchh asar nahin hota
na kare tark pairwi jab tak
rah-rau rahbar nahin hota
rang lati nahin mohabbat kuchh
soz jab tak sharar nahin hota
nahin khulta dar-e-nashat-e-abad
chaak jab tak jigar nahin hota
baDhte jate hain rah mein kanTe
yarab aage safar nahin hota
jaanta hun maal-e-betabi
dil pe qabu magar nahin hota
ho na jab tak usi ka fazl-o-karam
qatra dariya 'jigar' nahin hota
Ghazal
Jazb-e-dil kargar nahin hota
Jigar Barelvi