اردو हिंदी
Jazb-e-dil jab ba-ru-e-kar aaya | Shaahi Shayari
jazb-e-dil jab ba-ru-e-kar aaya

Ghazal

Jazb-e-dil jab ba-ru-e-kar aaya

Fani Badayuni

;

jazb-e-dil jab ba-ru-e-kar aaya
har nafas se payam-e-yar aaya

maut ka intizar tha aai
jaiye ab mujhe qarar aaya

jab kisi ne liya tumhaara nam
girya be-qasd-o-iKHtiyar aaya

be-qarari mein ab ye hosh nahin
kis ke dar par tujhe pukar aaya

farsh-e-gul phir bichha rahi hai nasim
aaiye mausam-e-bahaar aaya

aaj hum pi sake na wo aansu
un ke aage jo bar bar aaya

KHair to hai ki aap ke dar se
aaj 'fani' ummid-war aaya