jawaz-e-ab-o-tab ab gulab ke liye nahin
hamari yaad zinat-e-kitab ke liye nahin
nikal ke aasman pe aa samundaron pe nam likh
tu chand hai to chadar-e-hijab ke liye nahin
meri amanaten sambhaal ujal de mere nuqush
ye dard ab kisi se intisab ke liye nahin
murawwaton ke zaKHm bhi aziz rakhna jaan se
suluk-e-dostan hai ye hisab ke liye nahin
lahu ka zaiqa na chakh lahu ka tajraba na kar
lahu hai iztirab iztirab ke liye nahin
mere junun ko KHair-o-shar ke daere se dur rakh
ye zindagi ka husn intiKHab ke liye nahin
har ek ajnabi se apna muddaa bayan na kar
nazar-shanas hai to ijtinab ke liye nahin
Ghazal
Jawaz-e-ab-o-tab ab gulab ke liye nahin
Sahba Waheed