jawani zindagani hai na tum samjhe na hum samjhe
ye ek aisi kahani hai na tum samjhe na hum samjhe
hamare aur tumhaare waste mein ek naya-pan tha
magar duniya purani hai na tum samjhe na hum samjhe
ayan kar di har ek par hum ne apni dastan-e-dil
ye kis kis se chhupani hai na tum samjhe na hum samjhe
jahan do dil mile duniya ne kanTe bo diye aksar
yahi apni kahani hai na tum samjhe na hum samjhe
mohabbat hum ne tum ne ek waqti chiz samjhi thi
mohabbat jawedani hai na tum samjhe na hum samjhe
guzari hai jawani ruThne mein aur manane mein
ghaDi-bhar ki jawani hai na tum samjhe na hum samjhe
mata-e-husn-o-ulfat par yaqin kitna tha donon ko
yahan har chiz fani hai na tum samjhe na hum samjhe
ada-e-kam-nigahi ne kiya ruswa mohabbat ko
ye kis ki mehrbani hai na tum samjhe na hum samjhe

Ghazal
Jawani zindagani hai na tum samjhe na hum samjhe
Saba Akbarabadi