jawani mai-e-arghawani se achchhi
mai-e-arghawani jawani se achchhi
baqa jis mein ho shai wo fani se achchhi
hamein maut us zindagani se achchhi
jawani ho achchhi si achchhi kisi ki
na hogi tumhaari jawani se achchhi
ye mai shaiKH ko nar-e-dozaKH se baDh kar
ye mai hum ko jannat ke pani se achchhi
hamesha ko ab ho gai aankh musa
sada hogi kya lan-tarani se achchhi
agar pasbani mile tere dar ki
to KHidmat nahin pasbani se achchhi
mila TuT kar hum ne tauba jo toDi
nibhi chand din shaiKH fani se achchhi
nishana bane dil rahe tir dil mein
nishani nahin is nishani se achchhi
teri KHush-bayani ka kya zikr waiz
KHamoshi teri KHush-bayani se achchhi
jawani to guzri buDhape se bad-tar
guzar jae piri jawani se achchhi
jo ulfat mein hasil huin qais tujh ko
ye nakaamiyan kaamrani se achchhi
'riyaz' aa raho tum jo sahir ke dar par
rahe maut bhi zindagani se achchhi

Ghazal
Jawani mai-e-arghawani se achchhi
Riyaz Khairabadi