jawani magar is qadar mastiyan
shab-o-roz sham-o-sahar mastiyan
na dil mein zara bhi nadamat hui
machate rahe raat bhar mastiyan
hawaon mein lau thartharaati rahi
udhar thi haya aur idhar mastiyan
hawas-kariyon ko masarrat na kah
mohabbat mein itni na kar mastiyan
jawani ganwate hain jo zohd mein
buDhape mein karte hain KHar mastiyan
kabhi KHalwaton mein takalluf baham
kabhi hain sar-e-rahguzar mastiyan
baDi mushkilon se shab-e-ehtiyat
jo guzri to pichhle pahar mastiyan
wahin dosti hai jahan ishq hai
jidhar KHwariyan hain udhar mastiyan
adaon ko ulfat samajhta hai tu
nahin ai mere be-KHabar mastiyan
sawabon se un ka sahi fasla
gunahon se hain dur-tar mastiyan
yahan hikmaten bhi utarti rahin
uchhalti rahi hain agar mastiyan
piyape tere nam par gardishen
dama-dam tere nam par mastiyan
koi kaam 'sayyad' ne chhoDa nahin
kamalat sair-o-safar mastiyan
Ghazal
Jawani magar is qadar mastiyan
Muzaffar Ali Syed