jawani ke tarane ga raha hun
dabi chingariyan sulga raha hun
meri bazm-e-wafa se jaane walo
Thahar jao ki main bhi aa raha hun
buton ko qaul deta hun wafa ka
qasam apne KHuda ki kha raha hun
wafa ka lazmi tha ye natija
saza apne kiye ki pa raha hun
KHuda-lagti kaho but-KHane walo
tumhaare sath mein kaisa raha hun
zahe wo gosha-e-rahat ki jis mein
hujum-e-ranj le kar ja raha hun
charagh-e-KHana-e-darwesh hun main
idhar jalta udhar bujhta raha hun
nae kabe ki buniyaadon se puchho
purane but-kade kyun Dha raha hun
nahin kanTe bhi kya ujDe chaman mein
koi roke mujhe main ja raha hun
hui jati hai kyun betab manzil
musalsal chal raha hun aa raha hun
'hafiz' apne parae ban rahe hain
ki main dil ko zaban pe la raha hun
Ghazal
Jawani ke tarane ga raha hun
Hafeez Jalandhari