jawani harif-e-sitam hai to kya gham
taghayyur hi agla qadam hai to kya gham
har ek shai hai fani to ye gham bhi fani
meri aankh gar aaj nam hai to kya gham
mere hath suljha hi lenge kisi din
abhi zulf-e-hasti mein KHam hai to kya gham
KHushi kuchh tere hi liye to nahin hai
agar haq mera aaj kam hai to kya gham
mere KHun pasine se gulshan banenge
tere bas mein abr-e-karam hai to kya gham
mera karwan baDh raha hai baDhega
agar ruKH pe gard-e-alam hai to kya gham
ye mana ki rahbar nahin hai misali
magar apne sine mein dam hai to kya gham
mera karwan aap rahbar hai apna
ye shiraaza jab tak baham hai to kya gham
tere pas tabal o alam hain to honge
mere pas zor-e-qalam hai to kya gham
Ghazal
Jawani harif-e-sitam hai to kya gham
Ali Jawwad Zaidi