jawani aai murad par jab umang jati rahi bashar ki
nasib hote hi chaudhwin shab shikoh ruKHsat hui qamar ki
wo shoKH chitwan thi kis sitam ki ki jis ne chashmak kahin na kam ki
kisi taraf ko jo barq chamki to samjhe gardish use nazar ki
tera hi duniya mein hai fasana tera hi shaidai hai zamana
tere hi gham mein huin rawana nikal ke ruhen KHudai bhar ki
na aasman hai na wo zamin hai makan nahin wo jahan makin hai
payambaron ka guzar nahin hai rasai hai mere nama-bar ki
khincha jo tul-e-shab-e-judai andheri madfan ki yaad aai
nigah o dil par wo yas chhai umid jati rahi sahar ki
jo ishq-bazon ko aazmaya laga ke chhuriyan ye qahr Dhaya
yahan yahan tak lahu bahaya ki naubat aai kamar kamar ki
gire jo kuchh surKH gul zamin par kaha ye bulbul ne KHak uDa kar
hua hai wada mera barabar ye suraten hain mere jigar ki
maqam-e-ibrat hai aah ai dil KHuda hi ki hai panah ai dil
nahin hai kuchh zad-e-rah ai dil adam se takid hai safar ki
ye hum ne kaisa safar kiya hai musafiron ko rula diya hai
ajal ne aaghosh mein liya hai KHabar bhi hum ko nahin safar ki
wo jald ya-rab inhin ko take laga de do tir in par aa ke
ye donon rah jaen phaDphaDa ke main dekhun lashen dil o jigar ki
kisi ka mashuq chhuTta hai sahar ka waqt us ko luTta hai
koi ye sine ko kuTta hai nahin hai aawaz ye gajar ki
khicha hai zartar shamiyana gulon se aati hai bu shahana
dikha ke qudrat ka karKHana lahad ne hasrat bhula di ghar ki
ghashi ka aalam wo zor par hai mizaj-e-sehhat se be-KHabar hai
dawa ka ghaflat-zada asar hai KHabar dawa ko nahin asar ki
shabab ne KHud-numa banaya ye naz-e-KHushrui ne jataya
haya mein jis waqt farq aaya to un ke mukhDe se zulf sarki
hua hun chaurang tegh-e-hasrat ki dafn ki hai meri ye surat
kisi taraf ko hai dil ki turbat kahin hai turbat mere jigar ki
jo us ne zid ki to aafat aai duhai dene lagi KHudai
qayamat us bewafa ne Dhai idhar ki duniya 'sharaf' udhar ki
Ghazal
Jawani aai murad par jab umang jati rahi bashar ki
Agha Hajju Sharaf