اردو हिंदी
Jawan tha dil na tha andesha-e-sud-o-ziyan pahle | Shaahi Shayari
jawan tha dil na tha andesha-e-sud-o-ziyan pahle

Ghazal

Jawan tha dil na tha andesha-e-sud-o-ziyan pahle

Jami Rudaulvi

;

jawan tha dil na tha andesha-e-sud-o-ziyan pahle
wo the kya mehrban sara jahan tha mehrban pahle

koi manzil ho himmat chahiye sar ho hi jati hai
magar luTte hain raste mein hazaron karwan pahle

wo mir-e-karwan bhi ek na ek din ho ke rahte hain
jinhon ne muddaton chhani hai KHak-e-karwan pahle

KHudi jagi uThe parde ujagar ho gain rahen
nazar kotah thi tarik tha sara jahan pahle

wahi barq-e-tajalli shama hai mere shabistan ki
na la sakti thi jis ki tab shaKH-e-ashiyan pahle

hun ab bhi pa-ba-gil taham bahut parwaz ki main ne
wo ab meri zamin hai tha jo mera aasman pahle

nihan thin dar-ba-dar ki Thokaron mein azmaten 'jami'
na tha is darja aaali tera andaz-e-bayan pahle