jawan ruton mein lagae hue shajar apne
nishan sabt rahenge Dagar Dagar apne
ghaTaen TuT ke barsen junhi khule baadal
sukha rahe the parinde bhi baal-o-par apne
huruf pyar ke likkhe gae saba par bhi
qalam ke bal pe hain charche nagar nagar apne
ajib log hain mismar kar ke shahron ko
basa rahe hain KHalaon mein ja ke ghar apne
samar kisi ka ho shirin ki zahr se kaDwa
mujhe hain jaan se pyare sabhi shajar apne
hamara fan bhi sahabon mein kho gaya 'rasiKH'
falak pe pahunche hain yaran-e-be-hunar apne
Ghazal
Jawan ruton mein lagae hue shajar apne
Rasikh Irfani