jaur-o-be-mehri-e-ighmaz pe kya rota hai
mehrban bhi koi ho jaega jaldi kya hai
kho diya tum ko to hum puchhte phirte hain yahi
jis ki taqdir bigaD jae wo karta kya hai
dil ka ek kaam jo hota nahin ek muddat se
tum zara hath laga do to hua rakkha hai
nigah-e-shoKH mein aur dil mein hain choTen kya kya
aaj tak hum na samajh pae ki jhagDa kya hai
ishq se tauba bhi hai husn se shikwe bhi hazar
kahiye to hazrat-e-dil aap ka mansha kya hai
zinat-e-dosh tera nama-e-amal na ho
teri dastar se waiz ye laTakta kya hai
han abhi waqt ka aaina dikhae kya kya
dekhte jao zamana abhi dekha kya hai
na yagane hain na begane teri mahfil mein
na koi ghair yahan hai na koi apna hai
nigah-e-mast ko jumbish na hui go sar-e-bazm
kuchh to is jam-e-laba-lab se abhi chhalka hai
raat-din phirti hai palkon ke jo sae sae
dil mera us nigah-e-naz ka diwana hai
hum judai se bhi kuchh kaam to le hi lenge
be-niyazana talluq hi chhuTa achchha hai
un se baDh-chaDh ke to ai dost hain yaaden in ki
naz-o-andaz-o-ada mein teri rakkha kya hai
aisi baaton se badalti hai kahin fitrat-e-husn
jaan bhi de de agar koi to kya hota hai
teri aankhon ko bhi inkar teri zulf ko bhi
kis ne ye ishq ko diwana bana rakkha hai
dil tera jaan teri aah teri ashk tere
jo hai ai dost wo tera hai hamara kya hai
dar-e-daulat pe duaen si suni hain main ne
dekhiye aaj faqiron ka kidhar phera hai
tujh ko ho jaenge shaitan ke darshan waiz
Dal kar munh ko gareban mein kabhi dekha hai
hum kahe dete hain chaalon mein na aao un ki
sarwat-o-jah ke ishwon se bacho dhoka hai
yahi gar aankh mein rah jae to hai chingari
qatra-e-ashk jo bah jae to ek dariya hai
zulf-e-shab-gun ke siwa nargis-e-jadu ke siwa
dil ko kuchh aur balaon ne bhi aa ghera hai
lab-e-ejaz ki saugand ye jhankar thi kya
teri KHamoshi ke manind abhi kuchh TuTa hai
dar par gah nazar gah su-e-shahr-e-nigar
kuchh sunen hum bhi to ai ishq irada kya hai
aa ki ghurbat-kada-e-dahr mein ji bahlaen
ai dil us jalwa-gah-e-naz mein kya rakkha hai
zaKHm hi zaKHm hun main subh ki manind 'firaq'
raat bhar hijr ki lazzat se maza luTa hai
Ghazal
Jaur-o-be-mehri-e-ighmaz pe kya rota hai
Firaq Gorakhpuri