jauhar nahin hamare hain sayyaad par khule
le kar qafas ko uD gae rakkha jo par khule
shishe sharab ke rahen aaThon pahar khule
aisa ghire ki phir na kabhi abr-e-tar khule
kuchh to hamein haqiqat-e-shams-o-qamar khule
kis kaj-kulah ke ishq mein phirte hain sar khule
insaf ko hain dida-e-ahl-e-nazar khule
parda uTha ki parda-e-shams-o-qamar khule
rangrez ki dukan mein bhare hun hazar rang
turra wo hai jo yar ki dastar par khule
kya chiz hai ibarat-e-rangin mein sharh-e-shauq
KHat ki tarah tabiat-e-basta agar khule
jo chahen yar se kahin aghyar gham nahin
KHwaja ko hain ghulam ke aib-o-hunar khule
haiwan par aadmi ko sharaf nutq se hua
shukr-e-KHuda kare jo zaban-e-bashar khule
yusuf ki ek dukan mein na tu ne talash ki
bazar kaun kaun se ai be-KHabar khule
shirin-dahan se tere tajjub hai guftugu
eajaz hai agar girah-e-naishakar khule
kaT jae wo zaban na ho jis se dua-e-KHair
phuTe wo aankh jo ki na waqt-e-sahar khule
kotah hai is qadar mere qad par rida-e-aish
Dhankun jo panw ko to yaqin hai ki sar khule
qatil jaza-e-KHair mile teri tegh ko
zaKHmon ke munh khule nahin jannat ke dar khule
fasl-e-bahaar aai hai chalta hai daur-e-jam
mugh ki dukan sham khule ya sahar khule
pa-posh hum ne mari hai dastar-o-taj par
sauda-e-zulf-e-yar mein rahte hain sar khule
kaif-e-sharab-e-nab ka anjam ho ba-KHair
shalwar-band saqi-e-rashk-e-qamar khule
na-KHwanda sharh-e-shauq jalae gae KHutut
bandhe gae wo jo ki mere nama-bar khule
chahe safa tu sath tahaarat ke zikr kar
parhez kar to tujh ko dawa ka asar khule
hans kar dikhae dant jo hum ko to kya hua
le lijiye jo qimat-e-silk-e-guhar khule
kahta hun raaz-e-ishq magar sath shart ke
kanon hi tak rahe na zaban ko KHabar khule
mushtaq bandishon ke hain KHwabon ko chahiye
bandhwaen shaeron se jo un ki kamar khule
rukti na us se choT na chalti ye qatila
hathon se tere jauhar-e-tegh-o-sipar khule
matlab na sarnawisht ka samjha tu shukr kar
diwana ho jo haal-e-qaza-o-qadar khule
chalna paDega yar ki KHidmat mein sar ke bal
samjhe ho kya jo baiThe ho 'atish' kamar khule
Ghazal
Jauhar nahin hamare hain sayyaad par khule
Haidar Ali Aatish