jatan karta to hun lekin ye bimari nahin jati 
jo mere KHun mein shamil hai KHud-dari nahin jati 
ye us ka kaam hai firqa-parasti chhoD de kaise 
siyasat kuchh bhi kar le us ki makkari nahin jati 
wo buDha shaKHs apni jaan tak nilam kar baiTha 
magar afsos us ke ghar ki dushwari nahin jati 
sulaya hai faqat pani pila kar us ne bachchon ko 
hain aansu KHushk lekin us ki siskari nahin jati 
meri gham-KHwar ye duniya na ho to gham nahin 'sahil' 
meri fitrat mein shamil hai ye gham-KHwari nahin jati
        Ghazal
Jatan karta to hun lekin ye bimari nahin jati
Mohammad Ali Sahil

