jast bharta hua farda ke dahane ki taraf
ja nikalta hun kisi aur zamane ki taraf
aankh bedar hui kaisi ye peshani par
kaisa darwaza khula aaina-KHane ki taraf
KHud hi anjam nikal aaega is waqiye se
ek kirdar rawana hai fasane ki taraf
hal nikalta hai yahi rishton ki mismari ka
log aa jate hain diwar uThane ki taraf
darmiyan tez hawa bhi hai zamana bhi hai
tir to chhoD diya main ne nishane ki taraf
ek bichhDi hui aawaz bulati hai mujhe
waqt ke par se gum-gashta Thikane ki taraf
Ghazal
Jast bharta hua farda ke dahane ki taraf
Anjum Saleemi