اردو हिंदी
Jashn tha aish-o-tarab ki intiha thi main na tha | Shaahi Shayari
jashn tha aish-o-tarab ki intiha thi main na tha

Ghazal

Jashn tha aish-o-tarab ki intiha thi main na tha

Agha Hajju Sharaf

;

jashn tha aish-o-tarab ki intiha thi main na tha
yar ke pahlu mein KHali meri ja thi main na tha

us ne kab barKHast ai dil mahfil-e-mearaj ki
kis se puchhun raat kam thi ya sawa thi mein na tha

main taDap kar mar gaya dekha na us ne jhank kar
us sitamgar ko aziz apni haya thi main na tha

wada le leta ki khilwana na mujh ko Thokaren
aalam-e-arwah mein jis ja qaza thi main na tha

sarf karta kis KHushi se ja ke us mein apni KHak
kya kahun jis din banai karbala thi main na tha

munh na khul sakta na hote ham-kalam un se kalim
umr bhar hasrat hi rahti baat kya thi main na tha

le gai thi mujh ko hasrat jaanib-e-KHud-raftagi
jis taraf ko manzil-e-bim-o-raja thi main na tha

dil ulaT jata mera ya dam nikal jata mera
shukr hai jab lan-tarani ki sada thi main na tha

lala-o-gul ko bacha leta KHizan se ai 'sharaf'
bagh mein jis waqt nazil ye bala thi main na tha