jashn hum yun bhi manaen der tak
aaj ki shab KHud se uljhen der tak
sathiyon mein jab farasat hi nahin
ek paheli kya bujhaen der tak
guftugu ka ek tariqa ye bhi hai
aao hum KHamosh baiThen der tak
ye tumhaare zulm ki tauhin hai
shahr mein chiKHen na gunjen der tak
raat ki banhen hamein bhinche rahin
aur phir hum KHud ko sochen der tak
hum KHud apne KHwab ki tabir hain
aaina phir kyun na dekhen der tak
rah-giron ke liye phaili rahin
buDhe bargad teri shaKHen der tak
Ghazal
Jashn hum yun bhi manaen der tak
Aslam Haneef