اردو हिंदी
Jashn barbaad KHayalon ka mana lun to chalun | Shaahi Shayari
jashn barbaad KHayalon ka mana lun to chalun

Ghazal

Jashn barbaad KHayalon ka mana lun to chalun

Syed Mubeen Alvi Khairabadi

;

jashn barbaad KHayalon ka mana lun to chalun
mizha-e-shauq ko gham-saz bana lun to chalun

meri hasti mein simaT aae andhere gham ke
sham-e-ulfat ki tere gham mein jala lun to chalun

dil-e-betab Thahar ashk-e-tamanna ke tufail
bazm-e-furqat ko sar-e-sham saja lun to chalun

kaif tari hai bahut aaj tasawwur mein tere
ab zara hosh ke mahaul mein aa lun to chalun

un ka didar mere bas ka abhi kaam nahin
apni nazron se hijabaat uTha lun to chalun

abhi sailab pe dariya hai safina-bardosh
main kisi mauj ki aaghosh mein aa lun to chalun

jalwa-gar samne hai aaj 'mubin' un ka jamal
pyas aankhon ki zara aur bujha lun to chalun