jaras hai karwan-e-ahl-e-alam mein fughan meri
jaga deti hai duniya ko sada-e-al-aman meri
tasawwur mein wo kuchh barham se hain kuchh mehrban se hain
unhen shayad sunai ja rahi hai dastan meri
har ek zarra hai sahra aur har sahra hai ek duniya
magar is wusat-e-alam mein gunjaish kahan meri
meri hairat pe wo tanqid ki taklif karte hain
jinhen ye bhi nahin malum nazren hain kahan meri
musalsal tha fareb-e-KHwab-gah-e-alam-e-fani
magar sota raha chalti rahi umr-e-rawan meri
wahi lamha warud-e-na-gahan ka un ke ho shayad
jata kar aae jab bhi aae marg-e-na-gahan meri
mazaq-e-ham-zabani ko na tarsun bagh-e-jannat mein
koi 'simab' huron ko sikha deta zaban meri
Ghazal
Jaras hai karwan-e-ahl-e-alam mein fughan meri
Seemab Akbarabadi