jannat se nikala na jahannum se nikala
us ne to mujhe KHosha-e-gandum se nikala
rakha hai mujhe aaj talak mauj mein us ne
jis lahar ko girdab-o-talatum se nikala
ye bhul hi baiTha tha zaban rakhta hun main bhi
so KHud ko tere sahr-e-takallum se nikala
is aadat-e-taKHir ko ek umr hai darkar
mushkil se tabiat ko taqaddum se nikala
tadbir ko taqdir ki ghaflat se jagaya
ummid ko bhi tohmat-e-anjum se nikala
lagta tha nikal hi nahin paunga 'suhail' ab
us ne to mujhe ek tabassum se nikala
Ghazal
Jannat se nikala na jahannum se nikala
Suhail Akhtar