اردو हिंदी
Jangalon mein barishen hain dur tak | Shaahi Shayari
jangalon mein barishen hain dur tak

Ghazal

Jangalon mein barishen hain dur tak

Shahida Tabassum

;

jangalon mein barishen hain dur tak
jism mein phir wahshaten hain dur tak

raston mein chhup gain raaten kahin
KHwab-gah mein aahaTen hain dur tak

qurb ke lamhon ki hairan kokh mein
kuchh bichhaDti saaten hain dur tak

wo kahin gum ho kahin mil jaun main
dhund jaisi chahaten hain dur tak

ghul rahi hai jism mein tanha hawa
furqaton mein furqaten hain dur tak

zard patte sham phir bikhra gai
sans leti hijraten hain dur tak

Das gai hai peD ko bhigi hawa
shaKH par nilahaTen hain dur tak

gharq hote shahr ki jaan se alag
paniyon par rahaten hain dur tak

kitni baaten an-kahi si rah gain
nutq-e-jaan mein hairaten hain dur tak