jangal uga tha hadd-e-nazar tak sadaon ka
dekha jo muD ke naqsha hi badla tha ganw ka
jismon ki qaid toD ke nikle to shahr mein
hone laga hai hum pe guman dewtaon ka
achchha hua tahi hain zar-e-bandagi se hum
har moD par hujum khaDa hai KHudaon ka
sahra ka KHar KHar hai mahrum-e-tishnagi
kitna sitam zarif wo chhaala tha panw ka
sar rakh ke hum bhi raat ke patthar pe so gae
hum ko bhi ras aaya na tesha wafaon ka
beganagi se mujh ko na yun dekhiye ki main
hissa hun aap hi ke dariche ki chhanw ka
deta hai kaun dil ke kiwaDon pe dastaken
ye kaun rup dhaar ke aaya hawaon ka
'farigh' ghubar-e-rah ko tahqir se na dekh
paighambar-e-bahaar hai mausam KHizaon ka
Ghazal
Jangal uga tha hadd-e-nazar tak sadaon ka
Farigh Bukhari