jangal mudafat ke halkan ho gae hain
sab raste aandhiyon ke aasan ho gae hain
rishton ka bojh Dhona dil dil mein kuDhte rahna
hum ek dusre par ehsan ho gae hain
aanhken hain sulgi sulgi chehre hain dahke dahke
kin jalti bastiyon ki pahchan ho gae hain
logon ka aana jaana mamul tha par ab ke
ghar pahle se ziyaada sunsan ho gae hain
bad-qismati se hum hain in kashtiyon ke waris
jin ke hawa se ahd-o-paiman ho gae hain
milna bhi pur-takalluf duri ki dilkashi bhi
ek duje ke liye hum mehman ho gae hain
Ghazal
Jangal mudafat ke halkan ho gae hain
Musavvir Sabzwari