jangal mein kabhi jo ghar banaun
us mor ko ham-shajar banaun
bahte jate hain aaine sab
main bhi to koi bhanwar banaun
duri hai bas ek faisle ki
patwar chunun ki par banaun
bahti hui aag se parinda
banhon mein sameT kar banaun
ghar saunp dun gard-e-rahguzar ko
dahliz ko ham-safar banaun
ho fursat-e-KHwab jo mayassar
ek aur hi bahr o bar banaun
Ghazal
Jangal mein kabhi jo ghar banaun
Sarvat Husain