jang mein jaega ab mera hi sar jaan gaya
aur hoga na koi sina-sipar jaan gaya
mujh shanawar ko Dubo sakte nahin donon harif
main bhi tufan ka dariya ka hunar jaan gaya
unchi parwaz ki himmat bhi to kar le kargas
lakh shahin ka andaz-e-safar jaan gaya
aaj talwar hui jati hain shaKHen us ki
jang honi hai hawaon se shajar jaan gaya
is ke aangan mein bhi miTTi ke siwa kuchh bhi nahin
chand ke ghar mein jo pahuncha to bashar jaan gaya
Ghazal
Jang mein jaega ab mera hi sar jaan gaya
Farooq Anjum