janam janam ki takan hoti na baal-o-par mein
jo chand lamhe guzar leta tari nazar mein
chale ho ghar se to kaam aaenge sath le lo
wafa ki KHushbu wafa ka saya kaDe safar mein
riwayaton se gurez kaisa chalo jagaen
nasib soya hua hai apna isi khanDar mein
ghazab ka sud-o-ziyan hai apne mizaj mein ab
bala ki ThanDak utar chakki hai rag-e-sharar mein
kabhi to sara jahan hum ko laga hai apna
kabhi nazar aae ajnabi se KHud apne ghar mein
gal aur titli pe tabsira kya 'nadim' karte
bujhe hoe dil jale makanat the nazar mein
Ghazal
Janam janam ki takan hoti na baal-o-par mein
Nadeem Fazli