jamuna mein kal naha kar jab us ne baal bandhe
hum ne bhi apne dil mein kya kya KHayal bandhe
aisa shikoh us ki surat mein hai ki nagah
aawe jo samne se dast-e-majal bandhe
aankhon se gar kare wo zulfon ko Tuk ishaara
aawen chale hazaron wahshi ghazal bandhe
isa o KHizr tak bhi pahunche ajal ka muzhda
tu tegh agar kamar par bahr-e-qital bandhe
lale ki shaKH hargiz lahke na phir chaman mein
gar sar pe surKH chira wo naunihaal bandhe
lat aashiqi ki koi jae hai aashiqon se
go baadshah DanDe go kotwal bandhe
hum kis tarah se dekhen jab de de pech laD ke
chire ke pechon mein to zulfon ke baal bandhe
banda hun main to us ki aankhon ki sahiri ka
tar-e-nazar se jis ne sahab-kamal bandhe
hum ek bose ke bhi mamnun nahin kisi ke
chahe so koi tohmat roz-e-visal bandhe
soz-e-dil apna us ko kya 'mushafi' sunawen
aago hi wo phire hai kanon se shaal bandhe
Ghazal
Jamuna mein kal naha kar jab usne baal bandhe
Mushafi Ghulam Hamdani

