اردو हिंदी
Jamal pa ke tab-o-tab-e-gham yagana hua hai | Shaahi Shayari
jamal pa ke tab-o-tab-e-gham yagana hua hai

Ghazal

Jamal pa ke tab-o-tab-e-gham yagana hua hai

Zaheer Fatehpuri

;

jamal pa ke tab-o-tab-e-gham yagana hua hai
mere liye ye zar-e-gul charagh-e-KHana hua hai

ram-e-KHayal harif-e-ram-e-zamana hua hai
tulu-e-subh-e-tamanna payambarana hua hai

nayan mein dil ki gulabi ka aks jhum raha hai
dukhon ki dhum hai aalam sharab-KHana hua hai

bas ek jot jagi hai kahin koi bhi nahin hai
mizaj-e-wasl ba-har-rang-e-arifana hua hai

kuchh aur dhup mere gham kuchh aur ashk jhama-jham
ghana hua hai ye jangal to shamiyana hua hai

mere nigar-e-gurezan tujhe main kaise bhula dun
ki tu parastish-e-asnam ka bahana hua hai

jagat jagat mere ji ko junun uDae phire hai
teri tarah tera gham aafat-e-zamana hua hai

ye chhanw chhanw na rowo 'zahir' dil ko sambhaalo
Dhali hai sham magar yun koi diwana hua hai