اردو हिंदी
Jamal-e-yar ko taswir karne wale the | Shaahi Shayari
jamal-e-yar ko taswir karne wale the

Ghazal

Jamal-e-yar ko taswir karne wale the

Asif Shafi

;

jamal-e-yar ko taswir karne wale the
hum ek KHwab ki tabir karne wale the

shab-e-visal wo lamhe ganwa diye hum ne
jo dard-e-hijr ko iksir karne wale the

kahin se TuT gaya silsila KHayalon ka
kai mahal abhi tamir karne wale the

aur ek din mujhe us shahr se nikalna paDa
jahan sabhi meri tauqir karne wale the

hamari dar-badari par kise tajjub hai
hum aise log hi taqsir karne wale the

jo lamhe bit gae hain teri mohabbat mein
wo lauh-e-waqt par tahrir karne wale the

charagh le ke unhen DhunDhiye zamane mein
jo log ishq ki tauqir karne wale the

wahi charagh wafa ka bujha gae 'asif'
jo shahr-e-KHwab ki tamir karne wale the