اردو हिंदी
Jamal-e-nastarani rang-o-bu-e-yasmani | Shaahi Shayari
jamal-e-nastarani rang-o-bu-e-yasmani

Ghazal

Jamal-e-nastarani rang-o-bu-e-yasmani

Varis Kirmani

;

jamal-e-nastarani rang-o-bu-e-yasmani
gulon ne sikh liya tum se zauq-e-pairahani

zamana-saz na ho gar buton ki sim-tani
to azm-e-but-shikani bhi hai ain barhamani

sawad-e-koh-o-bayaban mein sham-e-be-watni
hamein lubha ke kahan lae aahu-e-KHutani

hazar rang mein pinhan hai aarzu-e-hayat
dua-e-nim-shabi ta junun-e-koh-kani

ba-nam-e-daulat-e-husn-o-jamal be-payan
samajh ke kijiye ahl-e-talab ki dil-shikani

majal-e-ah na thi dil ko bazm-e-jaanan mein
ye ehtiyat bhi thi muqtaza-e-gul-badani

wo ranj-e-rah-e-tamanna mein yaad-e-yar-e-aziz
wo dur bajte hue se rabab-e-anjumani