jalwon ka un ke dil ko talab-gar kar diya
ai shauq kis bala mein giraftar kar diya
ek ho gaya izafa meri zindagi mein aur
tum ne jo dil ko mail-e-azar kar diya
dil ki mujhe KHabar hai na dil ko meri KHabar
milte hi aankh kya nigah-e-yar kar diya
dil-bastagi ke waste dil ko lagaya tha
ummid hasraton ne ek aazar kar diya
rakh li junun ne baat meri un ke samne
har aable se KHar numudar kar diya
hain saKHtiyan baDhi hui zindan mein aaj-kal
do-gam chalna bhi mujhe dushwar kar diya
ye kaisa rog dil ko laga intizar ka
aankhon ko un ka talib-e-didar kar diya
kis ne karam kiya ye mere haal-e-zar par
is be-KHudi-e-ishq se hoshyar kar diya
main ne chhupaya lakh magar ashk-e-gham ne aah
ai 'raaz' raaz-e-shauq ka izhaar kar diya
Ghazal
Jalwon ka un ke dil ko talab-gar kar diya
Basheeruddin Raaz