jalwe hawa ke dosh ye koi ghaTa ke dekh
maiKHane uDte phirte hain manzar faza ke dekh
kyun shan-e-husn aaina-KHane mein ja ke dekh
'azhar' ko apne husn ka mazhar bana ke dekh
mahsur ho gai hai tajalli nigah mein
ab to meri nigah se daman bacha ke dekh
kya jaane kis maqam ye qismat chamak uThe
mayus kyun hai dast-e-talab to baDha ke dekh
zarron se phuT niklegi ulfat ki raushni
yaro na ho to KHak mein dil ko mila ke dekh
sad-rashk zindagi hai hawadis ka aaina
'azhar' is aaine mein zara muskura ke dekh
Ghazal
Jalwe hawa ke dosh ye koi ghaTa ke dekh
Azhar Lakhnawi