jalwe behosh na kar den tere diwanon ko
shama ki lau na kahin phunk na de parwanon ko
kar na talqin-e-adab bazm mein mastanon ko
hosh rahta hai kise dekh ke paimanon ko
subh ki pahli kiran shab ka haTati hai naqab
zindagi az-sar-e-nau milti hai armanon ko
zist be-rang thi sada thi kahani dil ki
rang baKHsha teri ulfat ne hi afsanon ko
ye tabassum ye takallum ye tarannum ye ada
be-qarar aur bhi karte hain pareshanon ko
chand kanTe rah-e-duniya se haTae hain zarur
gulistan garche banaya na bayabanon ko
muddaton ki wo meri tishna-labi hai ki 'habib'
takti hai dur se KHamosh jo paimanon ko
Ghazal
Jalwe behosh na kar den tere diwanon ko
Syed Habeeb