jalwa-saman ruKH-e-jaanan na hua tha so hua
zarra zarra mah-e-taban na hua tha so hua
kuchh to pahle se hi afsurda the ahl-e-gulshan
kuchh ye gham KHun-e-bahaaran na hua tha so hua
main ne dekha hai teri kam-nigahi ka anjam
aashna-e-gham-e-dauran na hua tha so hua
ye inayat ye tera jud-o-karam hai ki mujhe
shikwa-e-tangi-e-daman na hua tha so hua
allah allah mai-o-mina ka asar bhi kya hai
kuchh ilaj-e-gham-e-dauran na hua tha so hua
ye tere sher tera husn-e-taghazzul 'asad'
tere sheron se jo shadan na hua tha so hua
Ghazal
Jalwa-saman ruKH-e-jaanan na hua tha so hua
Asad Badayuni