jalwa paband-e-nazar bhi hai nazar-saz bhi hai
parda-e-raaz bhi hai parda-dar-e-raaz bhi hai
ham-nafas aag na lag jae kahin mahfil mein
shola-e-saz bhi hai shola-e-awaz bhi hai
yun bhi hota hai mudawa-e-gham-e-mahrumi
jabr-e-sayyaad bhi hai hasrat-e-parwaz bhi hai
mere afkar ki ranaiyan tere dam se
meri aawaz mein shamil teri aawaz bhi hai
zindagi zauq-e-numu zauq-e-talab zauq-e-safar
anjuman-saz bhi hai garm-e-tag-o-taz bhi hai
mere afkar-o-KHayalat mein sari 'taban'
husn-e-dilli bhi hai ranai-e-shiraaz bhi hai
Ghazal
Jalwa paband-e-nazar bhi hai nazar-saz bhi hai
Taban Ghulam Rabbani