jalwa jo tere ruKH ka ehsas mein Dhal jae
is aalam-e-hasti ka aalam hi badal jae
un mast nigahon ka ek daur jo chal jae
hum dard ke maron ki taqdir badal jae
masruf-e-ibaadat ka yun KHatm ho afsana
sar ho teri chaukhaT pe dam mera nikal jae
tu lakh bacha daman dar se na uThunga main
un mein se nahin hun main Tale se jo Tal jae
ai jaan-e-karam mujh par ek chashm-e-karam kar de
aisa na ho diwana qadmon pe machal jae
hasrat bhari aankhon mein ek pal ke liye aa ja
dekhe jo teri surat diwana bahal jae
tu aag mohabbat ki bhar de meri nas nas mein
har zarra mere dil ka is aag mein jal jae
bijli tere jalwon ki gir jae kabhi mujh par
ai jaan meri hasti is aag mein jal jae
ai chaaragaro dekho bimar-e-mohabbat hun
tadbir karo aisi dil jis se bahal jae
tu jazb-e-mohabbat mein kar le wo asar paida
jis samt nazar uTThe ek tir sa chal jae
pamal-e-rah-e-ulfat ho jaun mohabbat mein
wo shoKH agar mujh ko qadmon se masal jae
taqdir kare ehsan yun baad-e-'fana' mujh par
KHak-e-dar-e-jaanana munh par mere mal jae
Ghazal
Jalwa jo tere ruKH ka ehsas mein Dhal jae
Fana bulandshahri