jalwa-gah-e-dil mein marte hi andhera ho gaya
jis mein the jalwe tere wo aaina kya ho gaya
jab tasawwur ne baDha di nala-e-mauzun ki lai
saz-e-be-awaz se ek sher paida ho gaya
najd ke hirnon se eajaz-e-mohabbat pochhiye
paD gai jis par nigah-e-qais laila ho gaya
jaan de di main ne tang aa kar wufur-e-dard se
aaj mansha-e-jafa-e-dost pura ho gaya
ab kahan mayusiyon mein zabt ki gunjaishen
wo bhi kya din the ki tera gham gawara ho gaya
dil khincha jitna qafas mein aashiyane ki taraf
dur utna hi qafas se aashiyana ho gaya
rafta rafta ho gae jazb us mein jalwe sainkaDon
dil mera 'simab' taswir-e-sarapa ho gaya
Ghazal
Jalwa-gah-e-dil mein marte hi andhera ho gaya
Seemab Akbarabadi