اردو हिंदी
Jalwa-farosh-e-KHas ka andaz-e-am dekh | Shaahi Shayari
jalwa-farosh-e-KHas ka andaz-e-am dekh

Ghazal

Jalwa-farosh-e-KHas ka andaz-e-am dekh

Makhmoor Jalandhari

;

jalwa-farosh-e-KHas ka andaz-e-am dekh
har zarre ke wajud mein us ka qayam dekh

aaega past tujh ko nazar phir har aastan
sajdon mein baiTh kar tu hasin ka maqam dekh

teri talash mein hain mere sath sargiran
meri hayat-o-maut ka sauda-e-KHam dekh

ho dekhna uruj mein shan-e-zawal agar
ye mehr-e-nim-roz ye mah-e-tamam dekh

'maKHmur' agar samajh mein na aae maal-e-zist
baad numud-e-subh siyahi-e-sham dekh