اردو हिंदी
Jalwa-farma der tak dil-bar raha | Shaahi Shayari
jalwa-farma der tak dil-bar raha

Ghazal

Jalwa-farma der tak dil-bar raha

Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub

;

jalwa-farma der tak dil-bar raha
apni kah li sab ne main shashdar raha

jism be-his be-shikan bistar raha
main nae andaz se muztar raha

main KHarab-e-baad-o-saghar raha
dil fida-e-saqi-e-kausar raha

main raha to bagh-e-hasti mein magar
be-nawa be-ashiyan be-par raha

sab chaman walon ne to luTi bahaar
aur mujhe sayyaad hi ka Dar raha

koi samjha rind koi muttaqi
lab pe tauba hath mein saghar raha

tham rahe aansu rahi dil mein jalan
nam rahin aankhen kaleja tar raha

umr bhar phirta raha main dar-ba-dar
mar ke bhi charcha mera ghar ghar raha

saikaDon fikren hain tum ko aaqilo
tum se to 'majzub' hi behtar raha