اردو हिंदी
Jalwa-e-nau-bahaar ne luT liya luTa diya | Shaahi Shayari
jalwa-e-nau-bahaar ne luT liya luTa diya

Ghazal

Jalwa-e-nau-bahaar ne luT liya luTa diya

Khalid Hasan Qadiri

;

jalwa-e-nau-bahaar ne luT liya luTa diya
gesu-e-mushk-bar ne luT liya luTa diya

bazm mein kah ke haal-e-dil un ko kya hai muzmahil
dida-e-ashk-bar ne luT liya luTa diya

hae wo dil-farebiyan husn-e-nazar-fareb ki
jalwa-e-husn-e-yar ne luT liya luTa diya

pursish-e-gham pe hath se daman-e-zabt chhuT gaya
mehr-e-nigah-e-yar ne luT liya luTa diya

un ki nazar ki kya KHata dil se hua qusur-e-shauq
apne hi raaz-dar ne luT liya luTa diya

hae wo chashm-e-nargis-e-jam-e-sharab-e-atishin
gardish-e-chashm-e-yar ne luT liya luTa diya

aae bhi ya na aae ab mujh ko gharaz bahaar se
kaif-e-gham-e-bahaar ne luT liya luTa diya

dawar-e-hashr ke huzur shikwe zaban pe ruk gae
dida-e-sharmsar ne luT liya luTa diya

aah-e-jigar-KHrash se nazm-e-jahan badal diya
'KHalid'-e-dil-e-figar ne luT liya luTa diya