jalwa-e-jaan-faza dikhata rah
dil-e-be-jaan kun jalata rah
dil hamara gharib-KHana hai
gah gah is taraf bhi aata rah
KHushk hote hain dam-ba-dam lab-e-zaKHm
aab shamshir ka pilata rah
ishq aata hai fauj-e-gham le kar
tujh kun kahta hun hosh, jata rah
taki KHush howe gul-badan bulbul
akasr apni ghazal sunata rah
mansab-e-ishq hai agar tujh kun
naubat-e-ah kun bajata rah
shama-ru sin 'siraj' ja kar bol
ki patingon kun mat jalata rah
Ghazal
Jalwa-e-jaan-faza dikhata rah
Siraj Aurangabadi