jalwa-e-ishq haqiqat thi husn-e-majaz bahana tha
shama jise hum samjhe the shama na thi parwana tha
shobade aankhon ke hum ne aise kitne dekhe hain
aankh khuli to duniya thi band hui afsana tha
ahd-e-jawani KHatm hua ab marte hain na jite hain
hum bhi jite the jab tak mar jaane ka zamana tha
dil ab dil hai KHuda rakkhe saqi ko mai-KHane ko
warna kise malum nahin TuTa sa paimana tha
'fani' ko kaisa hi sahi phir bhi tujhi se nisbat thi
diwana tha tha kis ka tera hi diwana tha
Ghazal
Jalwa-e-ishq haqiqat thi husn-e-majaz bahana tha
Fani Badayuni