اردو हिंदी
Jalwa-e-husn se hai surat-e-auqat nai | Shaahi Shayari
jalwa-e-husn se hai surat-e-auqat nai

Ghazal

Jalwa-e-husn se hai surat-e-auqat nai

Charkh Chinioti

;

jalwa-e-husn se hai surat-e-auqat nai
din naya subh nai sham nai raat nai

in badalte hue haalat ka matam kaisa
har nae daur mein banti hain riwayat nai

har mulaqat ka andaz naya hota hai
jo bhi hoti hai wo hoti hai mulaqat nai

naya-pan husn ko wirse mein mila ho jaise
har ada us ki nai waza nai baat nai

chand-taron mein naya nur umaD aata hai
'charKH' wo aate hain aati hai nazar raat nai