jalwa-e-husn-e-karam ka aasra karta hun main
jo KHata mumkin hai mujh se be-KHata karta hun main
jab subuhi le ke wird-e-marhaba karta hun main
zindagi ko nind se chaunka diya karta hun main
hae wo aalam ki jab har shai se ghabraata hun main
aap hi apni nigahon se bacha karta hun main
wo bhi kya din the ki tha pine-pilane hi se kaam
hae ab chaar aansuon par iktifa karta hun main
dilruba hote hain jin ke aaKHiri lamhat-e-zist
aksar un phulon se daman bhar liya karta hun main
dekhne wale meri KHamoshi-e-lab ko na dekh
aankhon aankhon mein fasana kah diya karta hun main
mazhar-e-husn-e-talab hogi nigah-e-be-talab
muddaa ye hai ki tark-e-muddaa karta hun main
sirf is dhun mein ki tamir-e-mohabbat sahal ho
jaane kin kin mushkilon ka samna karta hun main
dil laraz jata hai sun kar har sitare ka 'shakil'
chand se tanhaiyon mein kuchh kaha karta hun main
Ghazal
Jalwa-e-husn-e-karam ka aasra karta hun main
Shakeel Badayuni

