jalwa-e-husn agar zinat-e-kashana bane
dastaras shama ko hasil ho to parwana bane
dil na hoshiyar rahe aur na diwana bane
ye tamanna hai ki KHak dar-e-jaanana bane
husn ai husn ye hai teri karishma-sazi
kaba ban jae kahin aur kahin but-KHana bane
hosh aur kashmakash-e-hosh ilahi tauba
wahi hoshiyar hai ulfat mein jo diwana bane
is tamanna se main ai ishq KHajil hota hun
dil ki taqdir ki wo husn ka nazrana bane
husn mahsus se hai jalwa-e-mutlaq matlub
na sahi kaba to dil-e-mail but-KHana bane
mai-parasti ka muayyan koi mear nahin
jis ka jo zarf ho saqi wahi paimana bane
un ki sarshaar nigahon ke tasadduq kahiye
hasil-e-kaif jo paimana-ba-paimana bane
soz ulfat ke KHuda shama nahin hai na sahi
phunk itna meri hasti ko ki parwana bane
saghar-e-dil mein hai kaifiyyat-e-sahba-e-alast
bund bund us ki na kyun hasil-e-mai-KHana bane
aap ek roz tawajjoh se jo sun len sar-e-bazm
dil ki rudad ka har lafz ek afsana bane
aaj mujh ko wo mai-e-hosh-ruba de saqi
aur to aur dil apne se bhi begana bane
kash miT miT ke meri hasti-e-nachiz 'ghubar'
KHak ho jae to KHak-e-dar-e-jaanana bane
Ghazal
Jalwa-e-husn agar zinat-e-kashana bane
Ghubaar Bhatti