اردو हिंदी
Jalwa-e-gul ka sabab dida-e-tar hai ki nahin | Shaahi Shayari
jalwa-e-gul ka sabab dida-e-tar hai ki nahin

Ghazal

Jalwa-e-gul ka sabab dida-e-tar hai ki nahin

Majrooh Sultanpuri

;

jalwa-e-gul ka sabab dida-e-tar hai ki nahin
meri aahon se bahaaran ki sahar hai ki nahin

rah-e-gum-karda hun kuchh us ko KHabar hai ki nahin
us ki palkon pe sitaron ka guzar hai ki nahin

dil se milti to hai ek rah kahin se aa kar
sochta hun ye teri rahguzar hai ki nahin

tez ho dast-e-sitam de bhi sharab ai saqi
tegh gardan pe sahi jam sipar hai ki nahin

main jo kahta tha so ai rahbar-e-kotah-KHiram
teri manzil bhi meri gard-e-safar hai ki nahin

ahl-e-taqdir ye hai mojaza-e-dast-e-amal
jo KHazaf main ne uThaya wo guhar hai ki nahin

dekh kaliyon ka chaTakna sar-e-gulshan sayyaad
sab ki aur sab se juda apni Dagar hai ki nahin

hum riwayat ke munkir nahin lekin 'majruh'
zamzama-sanj mera KHun-e-jigar hai ki nahin