اردو हिंदी
Jalwa-e-dost kisi waqt bhi ru-posh nahin | Shaahi Shayari
jalwa-e-dost kisi waqt bhi ru-posh nahin

Ghazal

Jalwa-e-dost kisi waqt bhi ru-posh nahin

Aziz Warsi

;

jalwa-e-dost kisi waqt bhi ru-posh nahin
hae mahrumi-e-qismat ki hamein hosh nahin

aap ehsan ke andaz to sikhen pahle
fitrat-e-ishq bhi ehsan-faramosh nahin

sirf wo log hi diwana samajhte hain mujhe
aaj is daur mein apna bhi jinhen hosh nahin

wo meri baada-parasti ko abhi kya jaane
jo meri tarah abhi mai-kada-bar-dosh nahin

jam uThata hun tere hukm se mahfil mein mudam
main bala-nosh nahin hun main bala-nosh nahin

saqi-e-bazm teri mast-nigahon ka asar
dil pe kis waqt hua tha ye mujhe hosh nahin

wo bhi kahte hain mujhe main jinhen kahta hun 'aziz'
hosh ab un ko nahin hai ki mujhe hosh nahin