اردو हिंदी
Jalwa ayan hai qudrat-e-parwardigar ka | Shaahi Shayari
jalwa ayan hai qudrat-e-parwardigar ka

Ghazal

Jalwa ayan hai qudrat-e-parwardigar ka

Akbar Allahabadi

;

jalwa ayan hai qudrat-e-parwardigar ka
kya dil-kusha ye scene hai fasl-e-bahaar ka

nazan hain josh-e-husn pe gul-ha-e-dil-fareb
joban dikha raha hai ye aalam ubhaar ka

hain didani banafsha o sumbul ke pech o tab
naqsha khincha hua hai KHat-o-zulf-e-yar ka

sabza hai ya ye aab-e-zamurrad ki mauj hai
shabnam hai bahr ya guhar-e-abdar ka

murghan-e-bagh zamzama-sanji mein mahw hain
aur nach ho raha hai nasim-e-bahaar ka

parwaz mein hain titaryan shad o chust o mast
zeb-e-badan kiye hue KHilat bahaar ka

mauj-e-hawa o zamzama-e-andalib-e-mast
ek saz-e-dil-nawaz hai mizrab-o-tar ka

abr-e-tunak ne raunaq-e-mausam baDhai hai
ghaza bana hai ru-e-urus-e-bahaar ka

afsos is saman mein bhi 'akbar' udas hai
suhan-e-ruh hijr hai ek gul-izar ka