اردو हिंदी
Jalti hui ruton ke KHaridar kaun hain | Shaahi Shayari
jalti hui ruton ke KHaridar kaun hain

Ghazal

Jalti hui ruton ke KHaridar kaun hain

Hasan Akhtar Jaleel

;

jalti hui ruton ke KHaridar kaun hain
ai paikar-e-ghazal tere bimar kaun hain

KHushbu ki saaton ke talabgar kaun hain
is zulf-e-mushk-bu ke giraftar kaun hain

kab tak chhupe rahenge azal KHamushi ke bhed
shahr-e-sada ke mahram-e-asrar kaun hain

kirnon ki rahguzar pe uDti hai dhul si
jo us taraf gae hain wo ji-dar kaun hain

sinon mein le ke walwala-e-zindagi ki aag
asr-e-rawan se bar-sar-e-paikar kaun hain

sadiyon se muntazir hain sulagti masafaten
aasaish-e-junun ke talabgar kaun hain

sarmast kar gai jinhen apne lahu ki lai
wo arsa-e-nabard ke fankar kaun hain

mein to gharib-e-shahr-e-suKHan hun magar 'jalil'
farman-rawa-e-kishwar-e-izhaar kaun hain